hangaama e hayaat se jaan bar na ho sakaa
— Khalilur Rahman Azmi
Hangaama-e-hayaat se jaan-bar na ho sakaa
Ye dil ajiib dil hai ki patthar na ho sakaa
Meraa lahoo bhee pee ke na Dunya javaan huee
Qeemat mire junoon kee miraa sar na ho sakaa
Teree galee se chhuT ke na jaa-e-amaan milee
Ab ke to meraa ghar bhee miraa ghar na ho sakaa
Tere na ho sake to kisee ke na ho sake
Ye kaarobaar-e-shauq mukarrar na ho sakaa
Yuun jee bahal gaya hai tiree yaad se magar
Teraa khayaal tere baraabar na ho sakaa
Guzree jo shab to bujh ga.e apne charaagh bhee
Aa.ee sahar to phir koee rahbar na ho sakaa