havaa ke jhonke jo aaen to un se Kuch na kaho

Khalilur Rahman Azmi

Havaa ke jhonke jo aa.en to un se Kuch na kaho Jo aag khud hee lagaa.ee hai us men jalte raho Ye dil kaa dard to saathee tamaam 'umr kaa hai Khushee kaa ek bhee lamha mile to us se milo Hamesha sach hee nahin boltaa hai aa.eena Khud apne aap se har lahza 'umr mat poochho Yahaan to Kuch bhee nahin juz khalaa-e-be-paayaan Hamaaree aankhon kee gahraa.iyon men mat jhaanko Khulaa hai aur na khulegaa kisee kaa darvaaza To aao koocha-e-jaanaan ko shab-ba-khair kaho