hazaar tarah se gardish men aaftaab raha
— Khalilur Rahman Azmi
Hazaar tarah se gardish men aaftaab raha
Nigaah-e-naaz kaa lekin kahaan javaab raha
Wo aa ga.e hain to ab chhoDo is fasaane ko
Kahaan kahaan main phiraa kis tarah kharaab raha
Sunaa raha hoon unhen jhooT-mooT ik qissa
Ki ek shakhs mohabbat men kaamyaab raha
Agarche aur bhee fitne uThe qayaamat ke
Tiraa shabaab hee aalam men intikhaab raha
Rah-e-hayaat men ham chaak-e-dil se dekhenge
Jahaan jahaan bhee rukh-e-dahr par naqaab raha