khud apna aks hoon ki kisi ki sadaa hoon main
— Khalilur Rahman Azmi
Khud apna aks hoon ki kisee kee sadaa hoon main
Yuun shahr taa-ba-shahr jo bikhraa huaa hoon main
Main DhoonDne chalaa hoon jo khud apne-aap ko
Tohmat ye mujh pe hai ki bahut khud-numaa hoon main
Mujh se na poochh naam miraa rooh-e-kaa.enaat
Ab aur Kuch naheen hoon tiraa aa.eena hoon main
Jab niind aa ga.ee ho sadaa-e-jaras ko bhee
Meree khataa yahee hai ki kyuun jaagtaa hoon main
Laa.oon kahaan se DhoonDh ke main apna ham-navaa
Khud apne har khayaal se Takraa chukaa hoon main
Ai umr-e-rafta main tujhe pahchaantaa naheen
Ab mujh ko bhuul jaa ki bahut bevafaa hoon main