kyuun ro ro kar nain ganvaaen rone se kya hota hai

Khalilur Rahman Azmi

Kyuun ro ro kar nain ganvaa.en rone se kya hota hai So jaa ai dil too bhee so jaa saaraa jag hee sotaa hai Jis se chaahen dil ko lagaa.en Dunya vaale kyuun samjhaa.en Itnee baat to sab hee jaanen piit kiye dukh hota hai Main aur too men bhed naheen Kuch vaahid jamaa baraabar hain sab Saare dhaage us se phooTen sab se baDaa jo hota hai Na.ee chandariyaa phaTee gaDariyaa sab dhobee ke ghaaT pe jaa.e Sab ke mail ko ik paanee se dhone vaalaa hota hai