mujhe aziiz hai ye nikhaton kaa gahvaaraa
— Khalilur Rahman Azmi
Mujhe aziiz hai ye nik.haton kaa gahvaaraa
Khuda kare na mile tere gham se chhuTkaaraa
Kalee kalee tiree dosheezgee kee khushboo hai
Chaman chaman tiree raanaa.iyon kaa nazzaaraa
Qadam qadam tire aab-e-hayaat ke chashme
Ravish ravish tiree joo-e-khiraam kaa dhaaraa
Nafas nafas tire kooche men ek aalam hai
Yahaan se lauT ke jaane kaa ab kise yaaraa
Galee galee miree rusvaa.iyon ke charche hain
Kahaan kahaan liye phirtee hai boo-e-aavaaraa