tirii sadaa kaa hai sadiyon se intizaar mujhe

Khalilur Rahman Azmi

Tiree sadaa kaa hai sadiyon se intizaar mujhe Mire lahoo ke samundar zaraa pukaar mujhe Main apne ghar ko bulandee pe chaDh ke kya dekhoon Urooj-e-fan miree dahleez par utaar mujhe Ubalte dekhee hai sooraj se main ne taareekee Na raas aa.egee ye sub.h-e-zar-nigaar mujhe Kahegaa dil to main patthar ke paanv choomoongaa Zamaana laakh kare aa ke sangsaar mujhe Wo faaqa-mast hoon jis raah se guzartaa hoon Salaam kartaa hai aashob-e-rozgaar mujhe