us par bhii dushmanon kaa kahiin saaya pad gaya
— Khalilur Rahman Azmi
Us par bhee dushmanon kaa kaheen saaya paD gaya
Gham saa puraanaa dost bhee aakhir bichhaD gaya
Jee chaahtaa to baiThte yaadon kee chhaanv men
Aisa ghanaa darakht bhee jaD se ukhaD gaya
Ghairon ne mujh ko dafn kiyaa shaah-raah par
Main kyuun na apnee khaak men ghairat se gaD gaya
Khalvat men jis kee narm-mizaajee thee be-misaal
Mahfil men be-sabab vahee mujh se akaD gaya
Bas itnee baat thee ki ayaadat ko aa.e log
Dil ke har ek zakhm kaa Taankaa udhaD gaya
Kis kis ko apne khoon-e-jigar kaa hisaab duun
Ik qatra bach raha hai so wo bhee nibaD gaya
Yaaron ne khuub jaa ke zamaane se sulh kee
Main aisa bad-dimaagh yahaan bhee bichhaD gaya
Kotaahiyon kee apnee main taaveel kya karoon
Meraa har ek khel mujhee se bigaD gaya
Ab kya bataa.en kya thaa khayaalon ke shahr men
Basne se pahle vaqt ke haathon ujaD gaya