wo rang e rukh wo aatish e Khoon kaun le gaya
— Khalilur Rahman Azmi
Wo rang-e-rukh wo aatish-e-khoon kaun le gaya
Ai dil tiraa wo raqs-e-junoon kaun le gaya
Zanjeer aansuon kee kahaan Toot kar giree
Wo intihaa-e-gham kaa sukoon kaun le gaya
Dard-e-nihaan ke chheen liye kis ne aa.ine
Nok-e-mizha se qatra-e-khoon kaun le gaya