aankhen hain khushk ashk baarii hai
— Khumar Barabankavi
Aankhen hain khushk ashk-baaree hai
Jaam khaalee hain daur jaaree hai
Wo hain paas aur be-qaraaree hai
Kya mohabbat kee vaz'-daaree hai
Zindagee chaar din kee hai lekin
Ek din ik sadee pe bhaaree hai
Mar ke bhee jiine vaale zinda hain
Maut bhee zindagee se haaree hai
Daastaan-go badalte jaate hain
'ishq kee daastaan jaaree hai