ai maut unhen bhulaae zamaane guzar gae
— Khumar Barabankavi
Ai maut unhen bhulaa.e zamaane guzar ga.e
Aa jaa ki zahr khaa.e zamaane guzar ga.e
O jaane vaale aa ki tire intizaar men
Raste ko ghar banaa.e zamaane guzar ga.e
Gham hai na ab khushee hai na ummeed hai na yaas
Sab se najaat paa.e zamaane guzar ga.e
Kya laa.iq-e-sitam bhee naheen ab main dosto
Patthar bhee ghar men aa.e zamaane guzar ga.e
Jaan-e-bahaar phuul naheen aadmee hoon main
Aa jaa ki muskuraa.e zamaane guzar ga.e
Kya kya tavaqquaat thiin aahon se ai 'khumaar'
Ye tiir bhee chalaa.e zamaane guzar ga.e