aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahii
— Khumar Barabankavi
Aisa naheen ki un se mohabbat naheen rahee
Jazbaat men wo pahlee see shiddat naheen rahee
Zof-e-quvaa ne aamad-e-peeree kee dee naved
Wo dil naheen raha wo tabee.at naheen rahee
Sar men wo intizaar kaa sauda naheen raha
Dil par wo dhaDkanon kee hukoomat naheen rahee
Kamzoree-e-nigaah ne sanjeeda kar diyaa
Jalvon se chheD-chhaaD kee aadat naheen rahee
Haathon se intiqaam liyaa irti.aash ne
Daamaan-e-yaar se koee nisbat naheen rahee
Paiham tavaaf-e-koocha-e-jaanaan ke din ga.e
Pairon men chalne phirne kee taaqat naheen rahee
Chehre ko jhurriyon ne bhayaanak banaa diyaa
Aa.eena dekhne kee bhee himmat naheen rahee
Allaah jaane maut kahaan mar ga.ee 'khumaar'
Ab mujh ko zindagee kee zaroorat naheen rahee