baat jab doston ki aatii hai
— Khumar Barabankavi
Baat jab doston kee aatee hai
Dostee kaanp kaanp jaatee hai
Mujh se ai dost phir khafaa ho jaa
Ishq ko niind aa.ee jaatee hai
Ab qayaamat se kya Dare koi
Ab qayaamat to roz aatee hai
Bhaagtaa hoon main zindagee se 'khumaar'
Aur ye naagin Dase hee jaatee hai