bujh gaya dil hayaat baaqii hai
— Khumar Barabankavi
Bujh gaya dil hayaat baaqee hai
Chhup gaya chaand raat baaqee hai
Haal-e-dil un se kah chuke sau baar
Ab bhee kahne kee baat baaqee hai
Ai khushaa khatm-e-ijtinaab magar
Mahshar-e-iltifaat baaqee hai
'ishq men ham samajh chuke sab se
Ek zaalim hayaat baaqee hai
Naasehaan-e-karaam ke dam se
Shorish-e-kaa.enaat baaqee hai
Raat baaqee thee jab wo bichhDe the
KaT ga.ee 'umr raat baaqee hai
Rahmat-e-be-panaah ke sadqe
E'timaad-e-najaat baaqee hai
Na wo dil hai na wo shabaab 'khumaar'
Kis liye ab hayaat baaqee hai