dil ko taskiin e yaar le duubii
— Khumar Barabankavi
Dil ko taskeen-e-yaar le Duubee
Is chaman ko bahaar le Duubee
Ashk to pee ga.e ham un ke huzoor
Aah-e-be-ikhtiyaar le Duubee
Ishq ke kaarobaar ko aksar
Garmee-e-kaarobaar le Duubee
Haal-e-gham un se baar baar kahaa
Aur hansee baar baar le Duubee
Tere har mashvare ko ai naaseh
Aaj phir yaad-e-yaar le Duubee
Chaar din kaa hee saath thaa lekin
Zindagee ai 'khumaar' le Duubee