gam Dunya bahut iizaa rasaan hai
— Khumar Barabankavi
Gham Dunya bahut eezaa-rasaan hai
Kahaan hai ai gham-e-jaanaan kahaan hai
Ik aansoo kah gaya sab haal dil kaa
Na samjhaa thaa ye zaalim be-zabaan hai
Khuda mahfooz rakhte aafaton se
Ka.ee din se tabee.at shaadmaan hai
Wo kaanTaa hai jo chubh kar Toot jaa.e
Mohabbat kee bas itnee daastaan hai
Ye maanaa zindagee kaamil hai lekin
Agar aa jaa.e jiinaa jaavedaan hai
Salaam aakhir hai ahl-e-anjuman ko
Khumaar ab khatm apnee daastaan hai