haal e gam un ko sunaate jaaiye

Khumar Barabankavi

Haal-e-gham un ko sunaate jaa.iye Shart ye hai muskuraate jaa.iye Aap ko jaate na dekhaa jaa.egaa Sham.a ko pahle bujhaate jaa.iye Shukriyaa lutf-e-musalsal kaa magar Gaahe gaahe dil dukhaate jaa.iye Dushmanon se pyaar hota jaa.egaa Doston ko aazmaate jaa.iye Raushnee mahdood ho jin kee 'khumaar' Un charaaghon ko bujhaate jaa.iye