hijr ki shab hai aur ujaalaa hai
— Khumar Barabankavi
Hijr kee shab hai aur ujaalaa hai
Kya tasavvur bhee luTne vaalaa hai
Gham to hai ain-e-zindagee lekin
Gham-gusaaron ne maar Daalaa hai
Ishq majboor o naa-muraad sahee
Phir bhee zaalim kaa bol-baalaa hai
Dekh kar barq kee pareshaanee
Aashiyaan khud hee phoonk Daalaa hai
Kitne ashkon ko kitnee aahon ko
Ik tabassum men us ne Dhaalaa hai
Teree baaton ko main ne ai vaa.iz
Ehtiraaman hansee men Taalaa hai
Maut aa.e to din phiren shaayad
Zindagee ne to maar Daalaa hai
Sher naghma shaguftagee mastee
Gham kaa jo ruup hai niraalaa hai
Laghzishen muskuraa.ee hain kya kya
Hosh ne jab mujhe sambhaalaa hai
Dam andhere men ghuT raha hai 'khumaar'
Aur chaaron taraf ujaalaa hai