jab wo pashemaan nazar aae hain
— Khumar Barabankavi
Jab wo pashemaan nazar aa.e hain
Maut ke saamaan nazar aa.e hain
Ho na ho ab aa ga.ee manzil qareeb
Raaste sunsaan nazar aa.e hain
'ishq men sahme hue do aashnaa
Muddaton anjaan nazar aa.e hain
Kee hai jo fikr apne garebaan kee
Laakh garebaan nazar aa.e hain
Khaa na sake zindagee bhar jo fareb
Aise bhee naadaan nazar aa.e hain
Hosh jab aaya tire jaane ke baa'd
Ghar men bayaabaan nazar aa.e hain
'ishq men Kuch ham hee pareshaan naheen
Wo bhee pareshaan nazar aa.e hain
Haa.e re wo madh-bharee aankhen 'khumaar'
Mai-kade veeraan nazar aa.e hain