kabhi jo main ne masarrat kaa ehtimaam kiyaa
— Khumar Barabankavi
Kabhi jo main ne masarrat kaa ehtimaam kiyaa
BaDe tapaak se gham ne mujhe salaam kiyaa
Hazaar tark-e-ta.alluq kaa ehtimaam kiyaa
Magar jahaan wo mile dil ne apna kaam kiyaa
Zamaane vaalon ke Dar se uThaa na haath magar
Nazar se us ne ba-sad ma.azarat salaam kiyaa
Kabhi hanse kabhi aahen bhareen kabhi ro.e
Ba-qadr-e-martaba har gham kaa ehtiraam kiyaa
Hamaare hisse kee mai kaam aa.e pyaason ke
Ze-raah-e-khair gunaah-e-shikast-e-jaam kiyaa
Tuloo-e-mahr se bhee ghar kee teergee na ghaTee
Ik aur shab kaTee yaa main ne din tamaam kiyaa
Duaa ye hai na hon gumraah ham-safar mere
'khumaar' main ne to apna safar tamaam kiyaa