na haaraa hai ishq aur na Dunya thakii hai
— Khumar Barabankavi
Na haaraa hai ishq aur na Dunya thakee hai
Diyaa jal raha hai havaa chal rahee hai
Sukoon hee sukoon hai khushee hee khushee hai
Tiraa gham salaamat mujhe kya kamee hai
KhaTak gudgudee kaa mazaa de rahee hai
Jise ishq kahte hain shaayad yahee hai
Wo maujood hain aur un kee kamee hai
Mohabbat bhee tanhaa.ee-e-daa.imee hai
Charaaghon ke badle makaan jal rahe hain
Nayaa hai zamaana na.ee raushnee hai
Are o jafaaon pe chup rehne vaalo
Khamoshee jafaaon kee taa.eed bhee hai
Mire raahbar mujh ko gumraah kar de
Sunaa hai ki manzil qareeb aa ga.ee hai
'khumaar'-e-balaa-nosh too aur tauba
Tujhe zaahidon kee nazar lag ga.ee hai