pii pii ke jagmagaae zamaane guzar gae
— Khumar Barabankavi
Pee pee ke jagmagaa.e zamaane guzar ga.e
Raaton ko din banaa.e zamaane guzar ga.e
Jaan-e-bahaar phuul nahin aadmee hoon main
Aa jaa ki muskuraa.e zamaane guzar ga.e
Kya laa.iq-e-sitam bhee nahin ab main dosto
Patthar bhee ghar men aa.e zamaane guzar ga.e
O jaane vaale aa ki tire intizaar men
Raste ko ghar banaa.e zamaane guzar ga.e
Gham hai na ab khushee hai na ummeed hai na yaas
Sab se najaat paa.e zamaane guzar ga.e
Marne se wo Daren jo ba-qaid-e-hayaat hain
Mujh ko to maut aa.e zamaane guzar ga.e
Kya kya tavaqquaat thiin aahon se ai 'khumaar'
Ye tiir bhee chalaa.e zamaane guzar ga.e