tire dar se uth kar jidhar jaon main
— Khumar Barabankavi
Tire dar se uTh kar jidhar jaaon main
Chaloon do qadam aur Thahar jaaon main
Sambhaale to hoon khud ko tujh bin magar
Jo chhoo le koi to bikhar jaaon main
Agar too khafaa ho to parvaa nahin
Tiraa gham khafaa ho to mar jaaon main
Tabassum ne itnaa Dasaa hai mujhe
Kalee muskuraa.e to Dar jaaon main
Miraa ghar fasaadaat men jal chukaa
Vatan jaaon to kis ke ghar jaaon main
'khumaar' un se tark-e-ta.alluq bajaa
Magar jeete-jee kaise mar jaaon main