vahii phir mujhe yaad aane lage hain

Khumar Barabankavi

Vahee phir mujhe yaad aane lage hain Jinhen bhoolne men zamaane lage hain Wo hain paas aur yaad aane lage hain Mohabbat ke hosh ab Thikaane lage hain Sunaa hai hamen wo bhulaane lage hain To kya ham unhen yaad aane lage hain HaTaa.e the jo raah se doston kee Wo patthar mire ghar men aane lage hain Ye kahnaa thaa un se mohabbat hai mujh ko Ye kahne men mujh ko zamaane lage hain Havaa.en chaleen aur na maujen hee uTTheen Ab aise bhee toofaan aane lage hain Qayaamat yaqeenan qareeb aa ga.ee hai 'khumaar' ab to masjid men jaane lage hain