wo hamen jis qadar aazmaate rahe
— Khumar Barabankavi
Wo hamen jis qadar aazmaate rahe
Apnee hee mushkilon ko baDhaate rahe
Wo akele men bhee jo lajaate rahe
Ho na ho un ko ham yaad aate rahe
Yaad karne pe bhee dost aa.e na yaad
Doston ke karam yaad aate rahe
Aankhen sookhee huee naddiyaan ban ga.iin
Aur toofaan ba-dastoor aate rahe
Pyaar se un kaa inkaar bar-haq magar
Lab ye kyuun der tak thartharaate rahe
Thiin kamaanen to haathon men aghyaar ke
Tiir apnon kee jaanib se aate rahe
Kar liyaa sab ne ham se kinaaraa magar
Ek naaseh ghareeb aate jaate rahe
Mai-kade se nikal kar janaab-e-'khumaar'
Ka.aba o dair men khaak uDaate rahe