wo jo aae hayaat yaad aaii
— Khumar Barabankavi
Wo jo aa.e hayaat yaad aa.ee
Bhoolee-bisree see baat yaad aa.ee
Haal-e-dil un se kah ke jab lauTe
Un se kahne kee baat yaad aa.ee
Aap ne din banaa diyaa thaa jise
Zindagee bhar wo raat yaad aa.ee
Tere dar se uThe hee the ki hamen
Tangee-e-kaa.enaat yaad aa.ee
Vaasta jab paDaa masarrat se
Gham kee ek ek baat yaad aa.ee
Kya javaanee ga.ee janaab-e-'khumaar'
Kaise tauba kee baat yaad aa.ee