ye misraa nahin hai vaziifa miraa hai
— Khumar Barabankavi
Ye misra.a naheen hai vazeefa miraa hai
Khuda hai mohabbat mohabbat khuda hai
Kahoon kis tarah main ki wo bevafaa hai
Mujhe us kee majbooriyon kaa pataa hai
Havaa ko bahut sar-kashee kaa nasha hai
Magar ye na bhoole diyaa bhee diyaa hai
Main us se judaa hoon wo mujh se judaa hai
Mohabbat ke maaron pe fazl-e-khuda hai
Nazar men hai jalte makaanon kaa manzar
Chamakte hain jugnoo to dil kaanptaa hai
Unhen bhoolnaa yaa unhen yaad karnaa
Wo bichhDe hain jab se yahee mashghala hai
Guzartaa hai har shakhs chehra chhupaa.e
Koee raah men aa.eena rakh gaya hai
BaDee jaan levaa hain maazee kee yaaden
Bhulaane ko jee bhee naheen chaahtaa hai
Kahaan too 'khumaar' aur kahaan kufr tauba
Tujhe paarsaaon ne bahkaa diyaa hai