apne lahuu se naam likhaa gair kaa bhi dekh
— Kishwar Naheed
Apne lahoo se naam likhaa ghair kaa bhee dekh
Zinda hai to shaqaavat-e-dasht-e-balaa bhee dekh
Aankhon ke aa.inon kaa to paanee utar gaya
Ab jism chob-e-khushk hai ye saaneha bhee dekh
Hotee hai zindagee kee haraarat ragon men sard
Sookhe hue badan pe ye chamDaa kasaa bhee dekh
Betaabiyon ko siine ke andar sameT le
Fitne ko apnee had se musalsal baDhaa bhee dekh
Har zarra ibraton ke samundar kee shakl hai
Sahraa-navard-e-shauq kabhee naqsh-e-paa bhee dekh
Pahchaan apnee ho to mile manzil-e-muraad
'naaheed' gaahe gaahe sahee aa.ina bhee dekh