batakh aur saanp hiran kaa ek chhotaa bachcha

Kishwar Naheed

Hiran kaa ek chhoTaa bachcha Dariyaa ke kinaare aa niklaa Vahaan pe ek batakh bhee thee Machhlee se wo ye kahtee thee Main to Dariya men nahaatee hoon Jab chaahoon main uD jaatee hoon Thak jaaon main to baith rahoon Jab chaahoon main sabze pe chaloon Tum to Dariya kee machhlee ho Paanee men rahtee bastee ho Tum meree tarah se chal na sako Tum meree tarah hil-jul na sako Tum meree tarah se aa na sako Tum meree tarah se jaa na sako Ye baat sunee ik saanp ne Ghusse se lagaa wo kaanpne Vo bolaa kyuun majboor hai too Kam-himmat hai majboor hai too Yuun machhlee ko shaikhee na dikhaa Kuchh himmat hai to saamne aa Ab bol ki kya too uDtee hai Aa chiil ke saamne uD ke dikhaa Ab bol ki kya too dauDtee hai Aa khargosh se race lagaa Ab bol ki kya too tairtee hai Aa too machhlee se pair milaa Ab too samjhee ab too jaanee Ye baaten hain aanee-jaanee Hai asal to ye kuch kar ke dikhaa Duniyaa ye kahe kya khuub kiyaa Jo gur seekho puuraa seekho Jo kaam karo achchhaa hee karo Hiran ka ek chhoTa bachcha Dariya ke kinare aa nikla Wahan pe ek bataKH bhi thi Machhli se wo ye kahti thi Main to dariya mein nahati hun Jab chahun main uD jati hun Thak jaun main to baith rahun Jab chahun main sabze pe chalun Tum to dariya ki machhli ho Pani mein rahti basti ho Tum meri tarah se chal na sako Tum meri tarah hil-jul na sako Tum meri tarah se aa na sako Tum meri tarah se ja na sako Ye baat suni ek sanp ne Ghusse se laga wo kanpne Wo bola kyun majbur hai tu Kam-himmat hai majbur hai tu Yun machhli ko shaiKHi na dikha Kuchh himmat hai to samne aa Ab bol ki kya tu uDti hai Aa chil ke samne uD ke dikha Ab bol ki kya tu dauDti hai Aa KHargosh se race laga Ab bol ki kya tu tairti hai Aa tu machhli se pair mila Ab tu samjhi ab tu jaani Ye baaten hain aani-jaani Hai asal to ye kuch kar ke dikha Duniya ye kahe kya KHub kiya Jo gur sikho pura sikho Jo kaam karo achchha hi karo