ham ne kahne ko tumhen dil se bhulaayaa huaa hai
— Kishwar Naheed
Ham ne kahne ko tumhen dil se bhulaayaa huaa hai
Bas yahee daagh hai siine men chhupaayaa huaa hai
Ab giregee bhee to kaise ki bahut sabr ke saath
Ham ne deevaar ko haathon se banaayaa huaa hai
Baat karne ko bahut der se sochaa us se
Jis kee tahreer ko aankhon men basaayaa huaa hai
Chashm-e-be-aib men us kaa hee saraapaa kyuun thaa
Jis kaa gham hadd-e-tamannaa men samaayaa huaa hai
Khwaish-e-qurb ke paivand hain haathon men mire
Ai junoon-zaad mujhe kitnaa sataayaa huaa hai
Koi kahtaa hai rifaaqat nahin milne vaalee
Koi kahtaa hai wo dahleez pe aayaa huaa hai
Vasl kee shaam kaa andaaza bahut mushkil thaa
Ham ne poochhaa thaa magar us ne chhupaayaa huaa hai