kabhi to aa mirii aankhon ki raushnii ban kar
— Kishwar Naheed
Kabhee to aa miree aankhon kee raushnee ban kar
Zameen-e-khushk ko sairaab kar namee ban kar
Rachaa huaa hai tiree kam-nigaahiyon kaa karam
Nashe kee tarah mire dil men sarkhushee ban kar
Kabhee to aa tapish-e-jaan-gusal hee dene ko
Kabhee guzar inhee raahon se ajnabee ban kar
Khushaa ki aur milaa gham kaa taaziyaana hamen
Khushaa wo dard jo chhaayaa hai naghmagee ban kar
Tumhen aziiz naheen hai to ho aziiz kise
Na mil sakegaa koee vajh-e-zindagee ban kar
PalaT ke dekh na us ko wo khaak kar degaa
Tire ghuroor ko zahraab kee anee ban kar
Huee na us se wafa tum se kya huaa 'naaheed'
Abhee talak jiye jaatee ho baaolee ban kar