kade kos harf
— Kishwar Naheed
Harf
Goyaa.ee kee zanjeer men jab qaid huaa
Ism banaa
Ahd banaa
Nazm banaa
Qissa-e-kaam-o-dahan kaa gham-e-matloob banaa
Khoob-o-naa-khoob banaa
Harf-e-naa-gufta
Magar zehn kaa aazaar banaa
Dil kee deevaar banaa
Raah-e-dushvaar banaa
Qissa-e-shauq kee vaarafta kahaanee na banaa
Heela-e-vasl kee gham-deeda nishaanee na banaa
Vaar hai manzil-e-goyaa.ee
Sabhee jaante hain
Harf-e-naa-gufta ke ye zakhm magar mere hain
Jin ko tanhaa.ee miree
Mujh se sivaa jaantee hai
Harf
Goyai ki zanjir mein jab qaid hua
Ism bana
Ahd bana
Nazm bana
Qissa-e-kaam-o-dahan ka gham-e-matlub bana
KHub-o-na-KHub bana
Harf-e-na-gufta
Magar zehn ka aazar bana
Dil ki diwar bana
Rah-e-dushwar bana
Qissa-e-shauq ki warafta kahani na bana
Hila-e-wasl ki gham-dida nishani na bana
War hai manzil-e-goyai
Sabhi jaante hain
Harf-e-na-gufta ke ye zaKHm magar mere hain
Jin ko tanhai meri
Mujh se siwa jaanti hai