rivaayat na tuute ham rivaayaat ki kohna sadiyon ke parbat tale
— Kishwar Naheed
Ham rivaayaat kee kohna sadiyon ke parbat tale
Vo ghane sabz jangal hain jo
Be-panaah shaakh-dar-shaakh taabindagee
Taazgee ke tamavvuj se sanvlaa ke
Khud hee jhulas jaa.en
Aise jalen aise jalen
Ki faqat duur tak ko.elaa ko.elaa hee dikhaa.ee de
Aur taazgee kee numoo
Khaak se bhee gavaahee na de
Vo muqaddar ke achchhe
Ki jin ko jalaape kee muddat guzarne pe
Un ko.elon kee jagah hiire motee mile
Vo muqaddar ke achchhe
Ki jin kee duaa.en zameen kee tahon men vaheen
To kaheen sonaa chaandee banen
Vo muqaddar ke achchhe
Ki jin ke badan kholte Khoon ke chashme the
Ab bhee hain
Paare kee kaanon kee soorat kaheen
To kaheen aise bhee sakht jaanon ke hain silsile jaa-ba-jaa
Jin se faulaad kaa naam paa.inda hai
Vo jalan jo kabhi taazgee ke tamavvuj se paidaa huee
Hai muqaddar kee tahreer aisi ki jis kee jalan ibtidaa
Intihaa bhee jalan
Jalte rehne kaa ye saaneha bhee jalan
Anjuman anjuman
Chaudhveen-raat ke chaand ne bhee kahaa
Bheegee barsaat ke ra.ad ne bhee kahaa
Tum vahee ho ki jin ko chaTakhne kee mohlat bhee miltee nahin
Ab rivaayat yahee hai
Nibhaao hanso
Muskuraao jalo
Har ik zard chehra gulaabee karo
Har ik aankh ko arghavaanee karo
Magar yaad rakkho
Rivaayat na TuuTe
Tamavvuj kee har taazgee laakh jhulse
Rivaayat na TuuTe
Hum riwayat ki kohna sadiyon ke parbat tale
Wo ghane sabz jangal hain jo
Be-panah shaKH-dar-shaKH tabindagi
Tazgi ke tamawwuj se sanwla ke
KHud hi jhulas jaen
Aise jalen aise jalen
Ki faqat dur tak koela koela hi dikhai de
Aur tazgi ki numu
KHak se bhi gawahi na de
Wo muqaddar ke achchhe
Ki jin ko jalape ki muddat guzarne pe
Un koelon ki jagah hire moti mile
Wo muqaddar ke achchhe
Ki jin ki duaen zamin ki tahon mein wahin
To kahin sona chandi banen
Wo muqaddar ke achchhe
Ki jin ke badan kholte KHun ke chashme the
Ab bhi hain
Pare ki kanon ki surat kahin
To kahin aise bhi saKHt jaanon ke hain silsile ja-ba-ja
Jin se faulad ka nam painda hai
Wo jalan jo kabhi tazgi ke tamawwuj se paida hui
Hai muqaddar ki tahrir aisi ki jis ki jalan ibtida
Intiha bhi jalan
Jalte rehne ka ye saneha bhi jalan
Anjuman anjuman
Chaudhwin-raat ke chand ne bhi kaha
Bhigi barsat ke rad ne bhi kaha
Tum wahi ho ki jin ko chaTaKHne ki mohlat bhi milti nahin
Ab riwayat yahi hai
Nibhao hanso
Muskurao jalo
Har ek zard chehra gulabi karo
Har ek aankh ko arghawani karo
Magar yaad rakkho
Riwayat na TuTe
Tamawwuj ki har tazgi lakh jhulse
Riwayat na TuTe