sambhal hi lenge musalsal tabaah hon to sahii
— Kishwar Naheed
Sambhal hee lenge musalsal tabaah hon to sahee
Azaab-e-zeest men rashk-e-gunaah hon to sahee
Kaheen to saahil-e-naa-yaaft kaa nishaan hogaa
Jalaa ke khud ko taqaazaa-e-aah hon to sahee
Majaal kya ki na manzil bane nishaan-e-wafa
Safeer-e-khud-nigraan gard-e-raah hon to sahee
Sadaa-ba-dasht banegee na ye lahoo kee tapish
Lahoo ke chheenTe magar gaah gaah hon to sahee