sone se pahle ek khayaal mujhe november ki dhoop ki tarah mat chaaho
— Kishwar Naheed
Mujhe november kee dhoop kee tarah mat chaaho
Ki is men Duubo to tamaazat men nahaa jaao
Aur is se alag ho to
ThanDak ko por por men utartaa dekho
Mujhe saavan ke baadal kee tarah chaaho
Ki us kaa saaya bahut gahraa
Nas nas men pyaas bujhaane vaalaa
Magar us kaa vajood pal men havaa
Pal men paanee kaa Dher
Mujhe shaam kee shafaq kee tarah mat chaaho
Ki aasmaan ke qurmuzee rangon kee tarah
Mere gaal surkh
Magar lamha-bhar ba.ad
Hijr men nahaa kar, raat see mailee mailee
Mujhe chaltee havaa kee tarah mat chaaho
Ki jis ke qayaam se dam ghuTtaa hai
Aur jis kee tez-ravee qadam ukheD detee hai
Mujhe Thahre paanee kee tarah mat chaaho
Ki main is men kanval ban ke nahin rah saktee hoon
Mujhe bas itnaa chaaho
Ki mujh men chaahe jaane kee khwaish jaag uThe!
Mujhe nowember ki dhup ki tarah mat chaho
Ki is mein Dubo to tamazat mein naha jao
Aur is se alag ho to
ThanDak ko por por mein utarta dekho
Mujhe sawan ke baadal ki tarah chaho
Ki us ka saya bahut gahra
Nas nas mein pyas bujhane wala
Magar us ka wajud pal mein hawa
Pal mein pani ka Dher
Mujhe sham ki shafaq ki tarah mat chaho
Ki aasman ke qurmuzi rangon ki tarah
Mere gal surKH
Magar lamha-bhar baad
Hijr mein naha kar, raat si maili maili
Mujhe chalti hawa ki tarah mat chaho
Ki jis ke qayam se dam ghuTta hai
Aur jis ki tez-rawi qadam ukheD deti hai
Mujhe Thahre pani ki tarah mat chaho
Ki main is mein kanwal ban ke nahin rah sakti hun
Mujhe bas itna chaho
Ki mujh mein chahe jaane ki KHwahish jag uThe!