talaash Dariya ki thii ba zaahir saraab dekhaa
— Kishwar Naheed
Talaash Dariya kee thee ba-zaahir saraab dekhaa
Wo kaun aankhen thiin jin kee khaatir ye khvaab dekhaa
Jo rut bhee aa.e hameen se girya kaa rizq maange
Hamaaree soorat kise zameen intikhaab dekhaa
Nadaamaten bahte aansuon se sharh na paa.en
Safeena apnee duaa kaa maqtal rikaab dekhaa
Barastee aankhon se sookhe taalaab bhar na paa.en
Ye gham kaa Dariya misaal-e-qarz-e-sahaab dekhaa
Kabhee to aankhon men un kee aabaadiyaan khilengee
Wo bastiyaan umr bhar jinhen zer-e-aab dekhaa
Abhee to bakhiya-garee ko sozan hee kaam aa.e
Hinaa kee dahleez pe tulu-e-hijaab dekhaa
Yaqeen ki tishna-labee muqaddar raqam rahegee
Vufoor-e-Dariya bhee misl-e-Dariya-e-khvaab dekhaa
Jataa gaya saaree aadaten bas gale se lag ke
Us ek anjum ko chaandnee ke hisaab dekhaa
Khayaal us ke badan kee galiyon ko DhoonDtaa hai
Wo jis ko dekhaa to hairaton ko naqaab dekhaa