ye bhi mumkin hai ki aankhen ho tamaashaa hi na ho
— Kishwar Naheed
Ye bhee mumkin hai ki aankhen ho tamaashaa hee na ho
Raas aane lage ham ko to ye Dunya hee na ho
Zindagee chaahen to khawabon se sivaa Kuch na mile
Doobnaa chaahen to haasil hamen Dariya hee na ho
Dil ko khush karne ko DhoonDe hain bahaane ham ne
Ab palaT kar zaraa dekhen kaheen aayaa hee na ho
Ab to bas saa.at-e-gum-karda kee yaaden baaqee
Ye wo jangal hai ki jis men koee rastaa hee na ho
Kaam kya degaa wo TuuTaa huaa aa.eena bhee
Yaad rakhne ko vahee aks wo chehraa hee na ho
Hijr ko shauq-e-mudaavaa hee samajh kar jee len
Zindagee tujh se ulajhne kaa to yaaraa hee na ho