ye hausla tujhe mahtaab e jaan huaa kaise
— Kishwar Naheed
Ye hausla tujhe mahtaab-e-jaan huaa kaise
Ki khud ko saa.e se minhaa kiyaa bataa kaise
Nazar to kya ki ye meenaa-e-dil bhee khaalee hai
Lagegaa shahr men baazaar-e-khoon-bahaa kaise
Mujhe khabar hai ki mausam naheen ye khvaahish kaa
Mire labon pe ye Thahraa hai zaa.iqa kaise
Khuda.ee nauha-kunaan thee ki aaj mimbar pe
Ye tujh ko aayaa nazar kya mire sivaa kaise
Ta.alluqaat ke taaveez bhee gale men naheen
Malaal dekhne aayaa hai raasta kaise
Qafas men meree panaahon ko dekh hairaan thaa
Ki mere dil men thaa maqtal kaa zaa.icha kaise
Havaa se jaise charaaghon kee lau bhaDaktee hai
Bahut dinon men tujhe dekh ke hansaa kaise