aa hi jaaegii sahar matlaa e imkaan to khulaa
— Majrooh Sultanpuri
Aa hee jaa.egee sahar matlaa-e-imkaan to khulaa
Na sahee baab-e-qafas rauzan-e-zindaan to khulaa
Le ke aa.ee to sabaa us gul-e-cheenee kaa payaam
Wo sahee zakhm kee soorat lab-e-khandaan to khulaa
Sail-e-rang aa hee rahegaa magar ai kisht-e-chaman
Zarb-e-mausam to paDee band-e-bahaaraan to khulaa
Dil talak pahunche na pahunche magar ai chashm-e-hayaat
Baad muddat ke tiraa panja-e-mizhgaan to khulaa
Dard kaa dard se rishta hai chalo ai 'majrooh'
Aaj yaaron se ye ik uqda-e-aasaan to khulaa