aakhir gam e jaanaan ko ai dil badh kar gam e dauraan honaa thaa
— Majrooh Sultanpuri
Aakhir gham-e-jaanaan ko ai dil baDh kar gham-e-dauraan honaa thaa
Is qatre ko bannaa thaa Dariya is mauj ko toofaan honaa thaa
Har moD pe mil jaate hain abhee firdaus-o-jinaan ke shaidaa.ee
Tujh ko to abhee Kuch aur haseen ai aalam-e-imkaan honaa thaa
Wo jis ke gudaaz-e-mehnat se pur-noor shabistaan hai teraa
Ai shokh usee baazoo pe tiree zulfon ko pareshaan honaa thaa
Aatee hee rahee hai gulshan men ab ke bhee bahaar aa.ee hai to kya
Hai yuun ki qafas ke goshon se elaan-e-bahaaraan honaa thaa
Aayaa hai hamaare mulk men bhee ik daur-e-zulekhaa.ee yaanee
Ab wo gham-e-zindaan dete hain jin ko gham-e-zindaan honaa thaa
Ab khul ke kahoongaa har gham-e-dil 'majrooh' naheen wo vaqt ki jab
Ashkon men sunaanaa thaa mujh ko aahon men ghazal-khvaan honaa thaa