ab ahl e dard ye jiine kaa ehtimaam karen
— Majrooh Sultanpuri
Ab ahl-e-dard ye jiine kaa ehtimaam karen
Use bhulaa ke gham-e-zindagee kaa naam karen
Fareb khaa ke un aankhon kaa kab talak ai dil
Sharaab-e-khaam piyen raqs-e-naa-tamaam karen
Gham-e-hayaat ne aavaara kar diyaa varna
Thee aarzoo ki tire dar pe sub.h o shaam karen
Na maangoon baada-e-gul-goon se bhiik mastee kee
Agar tire lab-e-laaleen miraa ye kaam karen
Na dekhen dair o haram soo-e-rah-ravaan-e-hayaat
Ye qaafile to na jaane kahaan qayaam karen
Hain is kashaakash-e-paiham men zindagee ke maze
Phir ek baar koi sa.i-e-naa-tamaam karen
Sikhaa.en dast-e-talab ko adaa-e-bebaakee
Payaam-e-zer-labee ko salaa-e-aam karen
Ghulaam rah chuke toDen ye band-e-rusvaa.ee
Kuch apne baazu-e-mehnat kaa ehtiraam karen
Zameen ko mil ke sanvaaren misaal-e-roo-e-nigaar
Rukh-e-nigaar se raushan charaagh-e-baam karen
Phir uTh ke garm karen kaarobaar-e-zulf-o-junoon
Phir apne saath use bhee aseer-e-daam karen
Miree nigaah men hai arz-e-moscow 'majrooh'
Wo sarzameen ki sitaare jise salaam karen