adaa e tuul e sukhan kya wo ikhtiyaar kare

Majrooh Sultanpuri

Adaa-e-tool-e-sukhan kya wo ikhtiyaar kare Jo arz-e-haal ba-tarz-e-nigaah-e-yaar kare Bahut hee talkh-navaa hoon magar azeez-e-vatan Main kya karoon jo tiraa dard be-qaraar kare Qadam ko faiz-e-junoon se wo hausla hai naseeb Jo khaar-e-raah ko bhee sham-e-rahguzaar kare Jagaa.en ham-safaron ko uThaa.en parcham-e-shauq Na jaane kab ho sahar kaun intizaar kare Misaal miltee hai kitnon kee us divaane se Chaman se duur jo baiThaa gham-e-bahaar kare Dayaar-e-jaur men rasta hai ik yahee varna Kise pasand hai ai dil ki sair-daar kare Khuda kare gham-e-geetee kaa pech-o-taab ai dost Kuch aur bhee tiree zulfon ko taabdaar kare Sitam ki tegh-e-qalam den use jo ai 'majrooh' Ghazal ko qatl kare naghme ko shikaar kare