ai dil mujhe aisii jagah le chal jahaan koi na ho
— Majrooh Sultanpuri
Ai dil mujhe aisee jagah le chal jahaan koee na ho
Apna paraayaa mehrbaan naa-mehrbaan koee na ho
Jaa kar kaheen kho jaa.oon main niind aa.e aur so jaa.oon main
Dunya mujhe DhoonDe magar meraa nishaan koee na ho
Ulfat kaa badla mil gaya wo gham luTaa wo dil gaya
Chalnaa hai sab se duur duur ab kaarvaan koee na ho