chaman hai maqtal e nagma ab aur kya kahiye

Majrooh Sultanpuri

Chaman hai maqtal-e-naghma ab aur kya kahiye Bas ik sukoot kaa aalam jise navaa kahiye Aseer-e-band-e-zamaana hoon saahabaan-e-chaman Miree taraf se gulon ko bahut duaa kahiye Yahee hai jee men ki wo rafta-e-taghaaful o naaz Kaheen mile to vahee qissa-e-wafa kahiye Use bhee kyuun na phir apne dil-e-zaboon kee tarah Kharaab-e-kaakul o aavaara-e-adaa kahiye Ye koo-e-yaar ye zindaan ye farsh-e-mai-khaana Inhen ham ahl-e-tamannaa ke naqsh-e-paa kahiye Wo ek baat hai kahiye tuloo-e-sub.h-e-nashaat Ki taabish-e-badan o shola-e-hinaa kahiye Wo ek harf hai kahiye use hikaayat-e-zulf Ki shikva-e-rasan o bandish-e-balaa kahiye Rahe na aankh to kyuun dekhiye sitam kee taraf KaTe zabaan to kyuun harf-e-naa-ravaa kahiye Pukaariye kaf-e-qaatil ko ab muaalij-e-dil BaDhe jo naakhun-e-khanjar girah-kushaa kahiye PaDe jo sang to kahiye use nivaala-e-zar Lage jo zakhm badan par use qabaa kahiye Fasaana jabr kaa yaaron kee tarah kyuun 'majrooh' Maza to jab hai ki jo kahiye barmalaa kahiye