daraa ke mauj o talaatum se ham nashiinon ko
— Majrooh Sultanpuri
Daraa ke mauj-o-talaatum se ham-nasheenon ko
Yahee to hain jo Duboyaa kiye safeenon ko
Jamaal-e-sub.h diyaa roo-e-nau-bahaar diyaa
Miree nigaah bhee deta khuda haseenon ko
Hamaaree raah men aa.e hazaar mai-khaane
Bhulaa sake na magar hosh ke qareenon ko
Kabhi nazar bhee uThaa.ee na soo-e-baada-e-naab
Kabhi chaDhaa ga.e pighlaa ke aabgeenon ko
Yahee jahaan hai jahannam yahee jahaan firdaus
Bataao aalam-e-baalaa ke sair-beenon ko
Hue hain qaafile zulmat kee vaadiyon men ravaan
Charaagh-e-raah kiye khoon-chakaan jabeenon ko
Tujhe na maane koi tujh ko is se kya 'majrooh'
Chal apnee raah bhaTakne de nukta-cheenon ko