dushman ki dostii hai ab ahl e vatan ke saath

Majrooh Sultanpuri

Dushman kee dostee hai ab ahl-e-vatan ke saath Hai ab khizaan chaman men na.e pairahan ke saath Sar par havaa-e-zulm chale sau jatan ke saath Apnee kulaah kaj hai usee baankpan ke saath Kis ne kahaa ki Toot gaya khanjar-e-farang Siine pe zakhm-e-nau bhee hai daagh-e-kuhan ke saath Jhonke jo lag rahe hain naseem-e-bahaar ke Jumbish men hai qafas bhee aseer-e-chaman ke saath 'majrooh' qaafile kee mire daastaan ye hai Rahbar ne mil ke luuT liyaa raahzan ke saath