go raat mirii subh ki mahram to nahin hai
— Majrooh Sultanpuri
Go raat miree sub.h kee mahram to naheen hai
Sooraj se tiraa rang-e-hinaa kam to naheen hai
Kuch zakhm hee khaa.en chalo Kuch gul hee khilaa.en
Har-chand bahaaraan kaa ye mausam to naheen hai
Chaahe wo kisee kaa ho lahoo daaman-e-gul par
Sayyaad ye kal raat kee shabnam to naheen hai
Itnee bhee hamen bandish-e-gham kab thee gavaaraa
Parde men tiree kaakul-e-pur-kham to naheen hai
Ab kaargah-e-dahr men lagtaa hai bahut dil
Ai dost kaheen ye bhee tiraa gham to naheen hai
Sahraa men bagoolaa bhee hai 'majrooh' sabaa bhee
Ham saa koee aavaara-e-aalam to naheen hai