ham ko junoon kya sikhlaate ho ham the pareshaan tum se ziyaada

Majrooh Sultanpuri

Ham ko junoon kya sikhlaate ho ham the pareshaan tum se ziyaada Chaak kiye hain ham ne azeezo chaar garebaan tum se ziyaada Chaak-e-jigar mohtaaj-e-rafoo hai aaj to daaman sarf-e-lahoo hai Ik mausam thaa ham ko raha hai shauq-e-bahaaraan tum se ziyaada Ahd-e-wafa yaaron se nibhaa.en naaz-e-hareefaan hans ke uThaa.en Jab hamen armaan tum se sivaa thaa ab hain pashemaan tum se ziyaada Ham bhee hamesha qatl hue aur tum ne bhee dekhaa duur se lekin Ye na samajhnaa ham ko huaa hai jaan kaa nuqsaan tum se ziyaada Jaao tum apne baam kee khaatir saaree laven sham.on kee katar lo Zakhm ke mehr-o-maah salaamat jashn-e-charaaghaan tum se ziyaada Dekh ke uljhan zulf-e-dotaa kee kaise ulajh paDte hain havaa se Ham se seekho ham ko hai yaaro fikr-e-nigaaraan tum se ziyaada Zanjeer o deevaar hee dekhee tum ne to 'majrooh' magar ham Koocha koocha dekh rahe hain aalam-e-zindaan tum se ziyaada