hon jo saare dast o paa hain Khoon main nahlaae hue

Majrooh Sultanpuri

Hon jo saare dast o paa hain Khoon main nahlaa.e hue Ham bhee hain ai dil bahaaraan kee qasam khaa.e hue Khabt hai ai ham-nasheen aql-e-hareefaan-e-bahaar Hai khizaan in kee inhen aa.eena dikhlaa.e hue Kya hai zikr-e-aatish-o-aahan ki gaddaaraan-e-gul Maarte hain haath angaaron pe ghabraa.e hue Zindagee kee qadr seekhee shukriya tegh-e-sitam Haan hamen the kal talak jiine se uktaa.e hue Sair-e-saahil kar chuke ai mauj-e-saahil sar na maar Tujh se kya bahlenge toofaanon ke bahlaa.e hue Hai yahee ik kaarobaar-e-naghma-o-mastee ki ham Yaa zameen par yaa sar-e-aflaak hain chhaa.e hue Saaz uThaayaa jab to garmaate phire zarron ke dil Jaam haath aayaa to mahr o mah ke ham-saa.e hue Dasht o dar banne ko hain 'majrooh' maidaan-e-bahaar Aa rahee hai fasl-e-gul parcham ko lahraa.e hue