junoon e dil na sirf itnaa ki ik gul pairahan tak hai
— Majrooh Sultanpuri
Junoon-e-dil na sirf itnaa ki ik gul pairahan tak hai
Qad o gesoo se apna silsila daar-o-rasan tak hai
Magar ai ham-qafas kahtee hai shoreeda-saree apnee
Ye rasm-e-qaid-o-zindaan ek deevaar-e-kuhan tak hai
Kahaan bach kar chalee ai fasl-e-gul mujh aabla-paa se
Mire qadmon kee gul-kaaree bayaabaan se chaman tak hai
Main kya kya jura.a-e-khoon pee gaya paimaana-e-dil men
Balaa-noshee miree kya ik mai-e-saaghar shikan tak hai
Na aakhir kah sakaa us se miraa haal-e-dil-e-sozaan
Mah-e-taabaan ki jo us kaa shareek-e-anjuman tak hai
Navaa hai jaavedaan 'majrooh' jis men rooh-e-saa.at ho
Kahaa kis ne miraa naghma zamaane ke chalan tak hai